Sunday, November 2, 2008

YAADEIN.......


Raat ki tanhayi me 
Tum yaad aate ho...
Dil ki gehrayi me..
Tum hi samate ho.....

Tumhe main pa na sakungi....
kya gum hai...
Par teri yaadon me rahungi...
Ye kya kam hai...

Yaad aati hai wo baatein...
Wo beete suhane pal...
Kaash kabhi laut kar aa jaye....
Wo beeta hua kal.....

KHAMOSHI.......


Humne khamoshi se tumse pyaar kiya hai..
Juban se na sahi..Dil se ikrar kiya hai....
Is tanhayi ko main kya naam dun...
Jo mera nahi use kaise apna kahun...

Gujaar di maine har raatein uske bin....
Ab gila karun bhi to kisse
Jab wo bhi ji sakta hai ZINDAGI mere bin....

Dekh kar mujhe ....
poochte hain aasman  ke chand sitare...
kyun na main bhi kho jaun tujhme aur..
Bhul jaun ye jahan saare...

Ab kaise kahun in chand taaron ko...
kyun hai ye lab khamosh....
dil me haan hai magar...
isme uska kya dosh........

FAISLA......


Mana door jane ka faisla mera tha...
Par dard  bhi mere hisse aaya...
ek baar haath badhaya to hota...
Laut aati wapas aur khushiyan humari naseeb me hota...

Socha tha saath nibhaungi hamesha tumhara...
Par takdir ne aaj kyun aisa din dikhlaya...
is kadar door hue ho tum mujhse...
Ki koi chah kar bhi hume mila n paya....

Aati thi mere labon par hansi...
tumhari hansi ko dekhkar...
Kho gayi ab wo hansi kahin...
Kis disha me gumnam hokar....

Ankhen bichi hai us rah par mere....
Alag hue the jahan raastein humare....
laut aa wapas aur thaam lo mujhe bhi....
khadi hun usi modh  par,tumhara raasta nihare....




JUDAAI........


Yun dheeme se muskurana unka....
Akar dil pe cha jana unka..
Yun dil ko chura kar bhi...
Najrein bhi na milana unka....

Le kar aagosh me humein...
Baatein banana unka....
Aur aankhon hi aankhon me...
Najron me humein basana unka...

Raaton ko karake intajaar...
Dil ko yun behkana unka....
Aur ek pal ki khushi dekar...
Ankhon me nami de jana unka....

Lakh koshishon k bawjood....
Har pal yaadon me aana unka...
Na jane kab khatm hoga ye silsila.....
Aur ye judai bhara afsana unka.....

MASTANA MAUSAM.......


Is suhane mausam ko dekhkar..
na jane kyun dil me fir se ek kasak si jagi...
kya main kahun ise...
tumhari aahtein ya tumhare hoton ki hansi...

Kyun din ke dhalne se....
tuymhari aahtein aur bhi kareeb aa jati hai...
khud ko rokna chahun bhi to ...
ye duriyan,najdikiyan ban jati hai...

ye bheega hua mausam...
meri palkon ko bhigo deti hai...
aur aankhon ki nami chupati hun...
khud ko tujhme sama leti hai......

AKELE TANHA.....


Aankh ke aansun ko moti kahun ya paani...'
Koi nahi yahan kise sunaun mai apni kahani...

Bhale mere lab khamosh hain..
par aankhen bayan karti hai meri dastaan...
meri bhi kal ki duniya hoti...
aur hota mera bhi ye jahan...

Poochungi mai us khuda se..
Kya thi mujh jaisi masoom ki gunah..
Jo tumne mujhe lakar chodh diya...
Is duniya me akele tanha....

Feelings of LOVE


Why your thoughts sorrounds me throghout the day....
Why my heart beats louder when you pass my way....
Is this the strong bond shared between me and you...
or the word LOVE wants to get in through...

Whenever I sit alone thinking of you...
Either you resides in me or I within you..
Though its true that I can't always meet you..
I am just happy by the touch of the air that comes to me after touching you....

It may be in the future we both are separated and you forget me...
But you will always remain in my heart like my heart beat..
I know our destiny is not the same....
But whenever I will hear the word LOVE
I will recall your name!!!!!

INTAJAAR....................................




socha tha bhul jaungi tumhe.....
magar ye ho na saka.. 
socha tha yaad na aaungi tumhe....
magar ye ho na saka..

wapas liye the maine apne kadam..
tumse door jane ko..
fir kyun ruke ye kadam thodi door jakar..
ek baar fir se tumhari oor aane ko..

dil ki dastak kehti hai..
laut aa...laut aa.... 
par kyun ye tum tak nahi pahunchti...
main hun wahin mai thi jahan...

hai intajaar abhi bhi tumhara,laut aao wapas...
na koi gila na koi shikwa...
milegi wapas hume apni duniya....
aur wo khushi jo adhuri hai humari..
ek duje ke bina......