Sunday, November 2, 2008

JUDAAI........


Yun dheeme se muskurana unka....
Akar dil pe cha jana unka..
Yun dil ko chura kar bhi...
Najrein bhi na milana unka....

Le kar aagosh me humein...
Baatein banana unka....
Aur aankhon hi aankhon me...
Najron me humein basana unka...

Raaton ko karake intajaar...
Dil ko yun behkana unka....
Aur ek pal ki khushi dekar...
Ankhon me nami de jana unka....

Lakh koshishon k bawjood....
Har pal yaadon me aana unka...
Na jane kab khatm hoga ye silsila.....
Aur ye judai bhara afsana unka.....

4 comments:

Unknown said...

the poem is indeed good, but its difficult to believe that there no tinge of reality in it..!!!

nivedita said...

haven;t u seen the movies and serials which write

"all the scenes in this is fantasy...and there is no resemblence with any true incident"..if there is then it's merely a coincidence...

that's it...waise kuch bhi likhne k liye sachaii aur kalatmak donon ka hona jaroori hai!!!!

anjali said...

nivi tm kamal sch bht achi poem thi,tme agar janna ho,to wo tmri poem padhe,pta nai kya kch chupa h is chote se dil me,nivi tm bht pyari ho,mera v nature tmre jesa hota, u r very sweet,

nivedita said...

Thnax for ur lovely message dear....waise is chote se dil me kuch khas nhi chupa hai..