Sunday, November 2, 2008

KHAMOSHI.......


Humne khamoshi se tumse pyaar kiya hai..
Juban se na sahi..Dil se ikrar kiya hai....
Is tanhayi ko main kya naam dun...
Jo mera nahi use kaise apna kahun...

Gujaar di maine har raatein uske bin....
Ab gila karun bhi to kisse
Jab wo bhi ji sakta hai ZINDAGI mere bin....

Dekh kar mujhe ....
poochte hain aasman  ke chand sitare...
kyun na main bhi kho jaun tujhme aur..
Bhul jaun ye jahan saare...

Ab kaise kahun in chand taaron ko...
kyun hai ye lab khamosh....
dil me haan hai magar...
isme uska kya dosh........

5 comments:

Ritika said...

readin the poem written by dis kiddo, I felt as if.....
der wud b yet another "Love in another town", yet another Baudrillard's world of simulation , tho it wud otherwise justify da world of romanticism...and ohoo.... even da sexy porsche wud turn red rolling down da detroit street..

Unknown said...

saare poems me doorie aur tanhayi kyu bahari hui hai??kuch romantic bhi touch bhi to hona chahiye, warna kahani adhuri rah jayegi.....waise accha tha poem..

nivedita said...

maine ab tak jitne stories dekhi ya padhi hai...real life me sabka ant tanhayi aur doorie se hi hota hai..isliye mujse hamesha aise hi poems ka end hota hai....ho sakta hai future me agar mere characters ek doosre se mil jaye to poems ke end me bhi changes ho jaye!!!!!

Halima Begum said...

tumne ye khudse likha he kya?

nivedita said...

yes dear....isliye to maine is blog ka title hi words from my heart likha hai...now u r welcomed to post ur valuable comment on my poems..looking forward to it.........